skinny.

Latest / Shayari Saarita

Main Chahta Bhi Yehi Tha, Woh Bewafa Nikle

Main Chahta Bhi Yehi Tha, Woh Bewafa Nikle

Mai Chahta Bhi Yehi Tha, Wo Bewafaa Nikle Use Samajhne Ka Koi To Silsila Nikle

Kitaab-e-maazi Ke Panne Ulat Ke Dekh Zara Na Jaane Kaun Sa Panna Muda Hua Nikle

Jo Dekhne Mein Bahut Hee Karib Lagtaa Hai Usi Ke Baare Mein Socho To Faasila Nikle

Lyrics: Waseem Barelavi

मैं चाहता भी यही था,वो बेवफ़ा निकले उसे समझने का कोई तो सिलसिला निकले

किताब-ए-माज़ी के पन्ने उलट के देख ज़रा न जाने कौन सा पन्ना मुड़ा हुआ निकले

जो देखने में बहुत ही क़रीब लगता है उसी के बारे में सोचो,तो फ़ासला निकले

The skinny

The skinny isn't ready yet — notes appear once the transcript is processed.