skinny.

Latest / Shayari Saarita

Intrduction To Greatest Poet Sudarshan Faakir - Aaj Ke Daur Mein Ae Dost Ye Manzar Kyoon Hai

Aaj ke daur mein ae dost ye manzar kyoon hai

Aaj ke daur mein ae dost ye manzar kyoon hai Zakhm har sar pe har ik haath mein patthar kyoon hai

Jab haqeeqat hai ke har zarre mein tu rehta hai Phir zamin par kahin masjid kahin mandir kyoon hai

Apna anjaam to maaloom hai sabko phir bhi Apnee nazron mein har insaan sikandar kyoon hai

Zindagi jeene ke qaabil hi nahin ab 'Faakir' Warna har aankh mein ashkon ka samandar kyoon hai

आज के दौर में ऐ दोस्त ये मंज़र क्यूँ है

आज के दौर में ऐ दोस्त ये मंज़र क्यूँ है ज़ख़्म हर सर पे हर इक हाथ में पत्थर क्यूँ है

जब हक़ीक़त है के हर ज़र्रे में तू रहता है फिर…

The skinny

The skinny isn't ready yet — notes appear once the transcript is processed.